• Breaking News

    Cmd (Command prompt) kya hai?

    What is cmd (Command prompt)?



    Hell"o friends kese ho app sabhi hope so achhe hoge....To aaj me apko bataunga ki cmd kya hai r iski help se aap kya kya kr skte ho aur kis kis task ko pura kr skte ho,
    Frinds agar ap computer use krte hai r windows ka use karte hi hoge  to apne CMD ka name to kabhi na kabhi to jaroor suna hoga, CMD ka full name COMMAND PROMPT hai.... ye windows ke sabse powerfull tools me se ek hai, iski help se ap commands ka use krke apne pc ko fully control kar sakte hai  aur kuch hacking ke basic Task perform bhi kar sakte hai ya kahu to bhot sare task perform kar sakte hai, is tutorial me apko batunga ki app cmd ka use kese r kis kis task me iska use kar sakte hai. to chaliye start karte hai.


    Friends command prompt ya CMD ka ek chota sa name hai windows me diya jane wala ek by default powerfull tool ya programe hai, jiseme hum keyboard ki help se kuch command type kare apne sare task complete kar sakte hai.  CMD  ek CLI Command line interface par work karne wala programe hai mtlb isme aap keyboard ki help se command dekar hi kaam hota hai mouse ka use nhi hota hai.


    Command prompt me aaj bhi hame bhot se in-bulit tools provide karta hai, jisme se hum Windows ki GUI se bhi use nhi kar sakte hai Example- ipconfig,ping,nslookup,tracert etc.


    To cmd ki help se hum kya kya task perform kar sakte hai?


    Advanced Disk Management tool


    CMD ke use se aap help se aap GUI se jayada perfect se Disk drivers ko manage kar sakte hai,
    kiuki isme apko diskpart jesa powerfull tool milta hai.iski help se ap computer ki disc ya partition ko bhi manage kar sakte hai par iska use karne se phle apko commands pata honi chahiye.

    Advanced system informations


    Agar apko ki saari information ek hi baari me pata karni hai . windows ka version,drivers,ram,memory,processor,networking etc everything apko bas ek command me mil jayegi.

    Advanced Task managing


    Command prompt ke use se ap advanced task ko bhi manage kar sakte hai r kill bhi kar sakte hai. Normally hum task manager ka use karte hai par CMD me aap task kill tool ka use bhi kar sakte hai.

    Advanced Networking Commands


    CMD me aapko Advanced networking tool ke bhi bhot saare option diye hue hai jo apko GUI me use karne ko nhi milenge. iski help se aap apna ip address cheak kar sakte hai router ki information le sakte hai, Internet ki speed test kar sakte hai, server ki information le sakte hai aur bhi bhot sare task perform kar sakte hai.

    To friend ye thi CMD ki kuch basic knowledge agar apko information achhi lagi to app cmd ke r search kar sakte hai. hope so apko information achhi lagi hai, Next tutorials me apke liye kuch networking ki kuch basic commnad lekar aaunga, To friend milte hai next tutorials me tb tk sikte rahiye aur sikhate rahiye.
    Thank u.









    1 comment:

    Post Bottom Ad

    ad728