• Breaking News

    Introduction to KALI-LINUX?

    KALI-LINUX?


    Hell"o friends aaj me apke liye leke aaya ek new intresting Fact. Friends agar apke pass pc ya laptop hai aur windows os ab sabhi use karte honge. To friends agar apka Technology and Hacking me interest hai to aab sabhi ne is Os ka name jaruru suna hoga, bilkul right hm baat kar rahe The most popular,powerful and Advance Os  jiska name KALI-LINUX hai. wese kabhi na kabhi apne iska name zaroor suna hoga to aaj ke is tutorial me hum iski ke bare me basic baate karenge. to chaliye start karte hai.


    What is Kali-Linux?

    Basically kali-linux  ek Operating system hai.ap ise apne pc ya laptop me bhi use kar sakte hai wo bhi bilkul free. Ye operating system Debian based linux operating system hai aur ye open source avilable hai. iska use Badi Badi company me Computer Security ko aur Advanced banane me use kiya jata hai. Linux ka Network Seucrity, Security auditing, pentration Testing, Server security aur ese Cyber Attacks jis se system ko koi lose ho, use protect karne ke liye use kiye jate hai. Aur sabse badi baat Specially for Hacking,  ye Hacker's logo ka sabse favorite operating system hai.




    Linux me apko  minimum 300  pre-installed tools mil jayenge jiski help se apka kaam aur easy ho jata hai dyaan rahe ye tools apko bs Linux os me milenge Aur kisi os me nahi ha kuch tools ab windows ke liye bhi modified ho chuke hai to aap windows me bhi kuch tools ka use kar sakte hai.


    Basically ap isme kisi website ki Information Gathering,network security, reverse Engeneering,shell commands,wi-fi analyzer ke kaafi tools apko dekhne ko mil jayenge  matlab jo aap karna chahte hai ye sare tools apko provide karta hai. Linux ko maxium wo log use karte hai jo kisi b chiz me loope holes find karte hai,  
    loop holes means kisi nhi website,network,software ya system ko backdooor jaha se Hacker"s apke system ko hack kar sakte hai Aur jo pentrataion karte hai wo is loope holes ko find karke website ko secure banate hai.linux kese install karna hai iske baare me apko next tutorial me bataung  basically mene apko bata dia linux kya hota hai r kon log ise use karte hai aur kiu karte hai...Linux ke baare me aur jayda janne ke liye ap internet par reserch kar sakte hai,

    To friends kesi lagi  informations hope so pasnd aai ho aur friends agar apko interest hai to aaj  hi linux ke baare me research karna start kar dijiye, me milte hu apse next tutorial me tab tak seekhte rahiye sikhate rahiye bye

    Thank u



    No comments

    Post Bottom Ad

    ad728